Yaadein

Yaadein

Tuesday, July 24, 2012

Tanha...

Jis kisi ko bhi chaho woh bewafa ho jaata hai, 
Sar agar jhukao to sanam khuda ho jaata hai.


Jab talak kaam aate raho, humsafar kehlaate raho, 
Kaam nikal jaane par humsafar, koi doosra ho jaata hai.

 
Ghum nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswaaion ka, 
Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jaata hai.


Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin,
Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jaata hai.

 
Hara-bhara hai gulshan-e-yaar, yeh bahar ke din hai.
Khizan aane par dekho ek ek patta, kaise juda ho jaata hai.

 
Yahi sachchai hai, haqeeqat hai, yahi dastoor-e-zindagi hai, 
Kuch der milte hain humraahi,phir har koi tanha ho jaata hai...!!!

No comments:

Post a Comment