Yaadein

Yaadein

Saturday, December 29, 2012

Baarish Ke Baad


Ho Gayi Rukhsat Ghata Baarish Ke Baad,
Ek Diya Jalta Raha Baarish Ke Baad.
Mere Behte Hue Aansuo Ko Dekh Kar,
Ro Parri Thandi Hawa Baarish Ke Baad.
Meri Tanhaayi Ka Daaman Thaam Kar,
Kuch Udaasi Ne Kaha Baarish Ke Baad,
Yaad Teri Odh Kar Mein So Gayi.
Khawaab Ka Daar Khul Gaya Baarish Ke Baad,
Chand Dekh Kar Baadlo Ki Qaid Mein.
Ek Sitaara Ro Diya Baarish Ke Baad,
Apne Ghar Ki Har Kachi Deewaar Par.
Naam Tera Likh Diya Baarish Ke Baad...

Tuesday, November 6, 2012

Teri Yaadon Ki Sunhari Dhoop....!!!

Teri yaadon ki sunhari dhoop
Ek jashn hai meri zindagi ka,
Geeli ret per chorr ke apne nishan
Likhti jaati hai koi geet khushi ka,
Tere saath bitaya har lamha
Dilki dhadkan me koi saaz ched jata hai,
Aaj bhi deti hain jab dastak tumhari yaadein
Tera aks nagmo me badal jata hai,
Main nahi jaanta ke ye yaadein na hoti to kya hota
Magar ye janta hoon,
Na khushnuma sargam ka falsafa hota
Na zindagi jeene ka mayna hota,
Ye yaadein ek jashn hai meri zindagi ka
Jo likhti jaati hain koi geet khushi ka!!!

Sunday, October 28, 2012

Humein Unse Koi Sikayat Nahi,
Sayad Humari Kismat Main Chahat Nahi.
Meri Takdeer Ko Likh Kar To Upper Wala Bhi Mukkar Gaya,
Pocha To Kaha Yeh Meri Likhawat Nahi....

Saturday, October 6, 2012

Tanhai....

Har Kisi Ke Naseeb Main Kahan  Likha Hai Chahtein,
Kuch Log  Duniya Main Aate Hai Faqat Tanhaiyun Ke Liye....

Friday, August 10, 2012

Tanha...2



Who Azeeb Si Shaam Thi Jab Juda Hue The Hum..,
Naa Toot Ke Pyaar Kiya Aur Naa Roo Sake The Hum…
Naa Khud Se Aur Naa Is Jamane Se Kuch Kaha Humne..,
Bas Bichhad Kar Reh Gaye Tanha Badi Saadgi Se Hum…

Haqikat Naa puch....


Haqikat Naa puch Mere bejaan Afsaane Ki..,
Tere Jaate Hi Badal Gayi Nazar Jamane KI…
Log Puchte Hai Mujhse main Khush Kyon Nahi..,
Kaise Kahu Aadat Thi mujhe Tere Saath Muskurane Ki…

Na Jane Kyun…..???

Har Qadam Par Nit-Naye Saanche Mein Dhal Jate Hai Log, 
Dekhte Hi Dekhte Badal Jaate Hai Log, 

Kisliye Kijiye Kisi Ghum Ghashta Jannat Ki Talash, 
Jab Ke Mitti Ke Khilone Se Bahel Jaate Hai Log, 

Kitni Sada Dil Hai Ab Bhi Sunke Awaz-E-Jaraz
Pesh-O-Paas Se Bekhar Bhar Se Nikal Jaate Hai Log, 

Shama Ki Maanind Ahal-Anjuman Se Beniyaaz,
Aksar Apni Aag Mein Chup Chap Jal Jaate Hai Log, 

Unki Dosti Ka Ab Bhi Dam Bharte Hai Aap, 
Thokarein Kha Kar To Suna Hai Sambhal Jaate Hai Log...


Tuesday, July 24, 2012

Mehsoos......


Sisakte hain kabhi seham se jaate hain, 

Khamosh khud hi mein simat se jaate hain. 

Darre hue se ehwaas tadpa sa jaate hain, 
Be-khyaal kisi yaad mein jab 
kabhi tumhein mehsoos karr jaate hain..... 


Banjar se is tan pe yaadoin ki chadar lipte hain, 
Mayoos palko se aansu beh jaate hain.
Saawan mein baras jaane k baad, 
jaise baadal zameen par bikhar jaate hain. 
Yeh jisam o jaan un tanhayi mein kachoot jaate hain.
Be-khyaal kisi yaad mein jab, 
kabhi tumhein mehsoos karr jaate hain...

Bin tere khud ko bada tanha paate hain,
Muskurate labbo k kisse reh jaate hain. 
Pehle the tum ab dard aate hai, 
jab kabhi apne hi saaye se rooth jaate hain.
Be-khyaal kisi yaad mein jab, 
kabhi tumhein mehsoos karr jaate hain... 


Hazaaro swaalo mein ghir jaate hain, 
Tanha tanhayio se bharr jaate hain. 
Akele se khud pe hi, 
Jahan bhar ki duhayiaan barsaate hain. 
Be-khyaal kisi yaad mein jab, 
kabhi tumhein mehsoos karr jaate hain... 

Khud se ladkar fir uth chale aate hain, 
Kuch pal tanhayio se veeran jahan mein aa jaate hain. 
Phir Labbo pe hassi ko bulaate hain, 
Hum bhi shor mein gum ho jaate hain. 
Magar dil mein bada pachtaate hain, 
Be-khyaal kisi yaad mein jab 
kabhi tumhein mehsoos karr jaate hai... 

Teri judai bhi hamein pyar karti hai, 

teri yaad bahot bekrar karti hai.

vo din jo tere sath guzare the, 

talash unko nazar bar-bar karti hai....!!!

Tanha...

Jis kisi ko bhi chaho woh bewafa ho jaata hai, 
Sar agar jhukao to sanam khuda ho jaata hai.


Jab talak kaam aate raho, humsafar kehlaate raho, 
Kaam nikal jaane par humsafar, koi doosra ho jaata hai.

 
Ghum nahi tha humko kabhi zamaane ki ruswaaion ka, 
Takleef hoti hai jab koi apna khafa ho jaata hai.


Dil ki khalish aksar jaan leva ho jati hai lekin,
Dar-e-dil ek had ke baad dard-e-dawa ho jaata hai.

 
Hara-bhara hai gulshan-e-yaar, yeh bahar ke din hai.
Khizan aane par dekho ek ek patta, kaise juda ho jaata hai.

 
Yahi sachchai hai, haqeeqat hai, yahi dastoor-e-zindagi hai, 
Kuch der milte hain humraahi,phir har koi tanha ho jaata hai...!!!

Saturday, June 23, 2012

Jane Kyun Ras-Main Yeh Duniya Ke Nibhate Hai Log..
Yahan Dil Se Dil To Milte Nahi,
Fakat Haanth Kyun Milate Hai Log.....

Wednesday, May 30, 2012

Aankhon main raha dil mein utar kar nahi dekha....

Aankhon main raha dil mein utar kar nahi dekha
Kashti ke musafir ne samandar nahi dekha !!

Be waqt agar jaun ga sab chaunk paren ge
ik umar hui kabhi din mein ghar nahi dekha

Jis din se chala hun meri manzil pe nazar hai
aankhon ne kabhi meel ka pathar nahi dekha

yaaron ki mohabbat ka yaqeen kar lia main ne
phoolon mein chupaya huwa khanjar nahi dekha

mehboob ka ghar ho keh buzurgon ki zameeneN
jo chor dia phir usse mur kar nahi dekha

Pathar mujha kehta hai mera chahne wala
Main mom hun us ne mujhe chu kar nahi dekha

Wo mere masaail ko samajh hi nahi sakta
jis ne meri aankh mein samandar nahi dekha....

Friday, March 9, 2012

Usay Bhool ja....



Kahan aa ke ruknay they rastay, kahan morr tha usay bhool ja,
wo jo mil gaya usay yaad rakh jo nahi mila usay bhool ja…
woh tere naseeb ki barishein kisi aur chat pe baras gayein
dil-e-bekhabar meri baat sunn usay bhool ja usay bhool ja…
mein to gum tha tere he dheyan mein, teri aas, tere gumaan mein
saba keh gai mere kaan mein mere saath aa usay bhool ja…
kisi ankh mein nahi ashk-e-gham, tere baad kuch bhi nahi hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura usay bhool ja…
kyun attaa hua hai ghubaar mein, gham-e-zindagi k fishaar mein
wo jo darj tha tere bakht mein, so woh ho gaya usay bhool ja…
na woh ankh he teri ankh thi, na woh khawb he tera khawb tha
dil-e-mutazir tu ye kis liay,tera jaagna, usay bhool ja…
yeh jo raat din ka hai khel sa, isay dekh, is pe yaqeen na ker
nahi aks koi bhi mustaqil, sir-e-aaina usay bhool ja…
jo bisaat-e-jaan he ulat gaya, wo jo rastay mein palat gaya
usy roknay se hasool kya, usay mat bula, usay bhool ja………….