Yaadein

Yaadein

Friday, March 9, 2012

Usay Bhool ja....



Kahan aa ke ruknay they rastay, kahan morr tha usay bhool ja,
wo jo mil gaya usay yaad rakh jo nahi mila usay bhool ja…
woh tere naseeb ki barishein kisi aur chat pe baras gayein
dil-e-bekhabar meri baat sunn usay bhool ja usay bhool ja…
mein to gum tha tere he dheyan mein, teri aas, tere gumaan mein
saba keh gai mere kaan mein mere saath aa usay bhool ja…
kisi ankh mein nahi ashk-e-gham, tere baad kuch bhi nahi hai kam
tujhe zindagi ne bhula diya tu bhi muskura usay bhool ja…
kyun attaa hua hai ghubaar mein, gham-e-zindagi k fishaar mein
wo jo darj tha tere bakht mein, so woh ho gaya usay bhool ja…
na woh ankh he teri ankh thi, na woh khawb he tera khawb tha
dil-e-mutazir tu ye kis liay,tera jaagna, usay bhool ja…
yeh jo raat din ka hai khel sa, isay dekh, is pe yaqeen na ker
nahi aks koi bhi mustaqil, sir-e-aaina usay bhool ja…
jo bisaat-e-jaan he ulat gaya, wo jo rastay mein palat gaya
usy roknay se hasool kya, usay mat bula, usay bhool ja………….