Yaadein

Yaadein

Thursday, May 30, 2013

Meri yaad aayegi tumhein jab main dur chala jaunga,
Dur itna ki kabhi laut ke na aaungaa.
Ab tak tumhare dil main rehta tha,
Fir tumhari yaadoin main bas jaunga.
Yaad aayegi baatein aur mulakate meri,
Magar kabhi main tumse mil na paaunga.
Tadpoge tum bhi mere bare main soch kar....,
Magar tab main nazar na aaunga.
Tumhein jaan se jada chahta hoon,
Par sayad kabhi saabit na kar paunga.
Log kehte hain pyaar to amar hota hain,
Fit to main khud ho hi amar kar jaunga.
Mere pyaar ko sahara dena tab,
Jab aakhri dum par tumhein bulaunga.
Meri yaad aaye to raat ko bahar aake dekhna,
Main ek chamakta hua tara ban jaunga.
Aansu mat bahana mujhe yaad karke,
Varna naaraj main ho jaunga.
Suna hain 7 janam milte hain insaan ko...,
Wada raha.... baki 6 janam tumhare saath bitaunga.....

Sunday, May 5, 2013

Garr Tum Humein Bhula Na Diye Hote............!

Garr Tum Humein Bhula Na Diye Hote,
Yeh Armaa Kabhi Dil Main Na Hote.
Sapne Saare Mere Sach Hote,
Garr Hum Iss Tarah Juda Na Hote.
Ke Neend Kabhi Ojhal Na Hoti Aankho Se,
Chain Na Kabhi Ojhal Iss Dil Se.
Hote Safar Humare Bhi Suhane,
Garr Tum humein Bhula Na Diya Hote.

                                                               ← Kash.→

Thursday, April 25, 2013

Lahu na ho to kalam tarajuman nahi hota,
hamare daur mein aansu bezuban nahi hota.
jahan rahega wahin roshni lutayega,
kisi charag ka apna makaam nahi hota.
ye kis maqam pe lai hai meri tanahai,
ke mujh se aaj koi badguman nahi hota.
main us ko bhool gaya hoon yeh kon manega,
kisi charag ke bas mein dhuan nahi hota.
‘Kash’ sadiyon ke aankhon se dekhiye mujh ko
wo lafz hun jo kabhi dastan nahi hota.....!!!
                                                                      Wasim B.

Thursday, March 21, 2013

Kya Khabar Thi...2


Humein Kya Malum Ke main Is Kadar Badal Jaunga,
Teri Gumon Se Hum,Hans Ke Sambhal Jaunga.
Ajnabi Si Mulakat Hogi Mehfil Mein Gar,
Tujhko Dekhoonga Magar Baat Main Badal Jaunga.
Woh Tapish Pehenake Tere Jism Mein Hum,
Tere Hi Aah Ke Sath Dhaal Jaunga....
Teri Bahoin Se Lipat Kar Main,
Teri Chain Se Sauda kar Jaunga.
Dhoond Na Le Teri Khwaab Mujhe Kahin,
Teri Band Palkoon Se Nikal Jaunga.
Khud Jalate Ho Jab Woh Yaad Kagaz Ke,
Khaak Ban Kar Daman Mein Pal Jaunga.

Sunday, March 10, 2013

Chale Aao...


Gham-e-hayaat ka jhagda, mita raha hai koii,
Chale aao k duniya se, jaa raha hai koii.
Azal se keh do k ruk jaaye, do ghadi,
Suna hai aane ka waada, nibhaa raha hai koii.
Woh is naaz se baitthe hain, laash k paas,
Jaise roothe hue ko, manaa raha hai koii.
Palat kar na aa jaye, phir saans nabzon mein,
Itne haseen haathon se, mayyat sajaa raha hai koii……..

Saturday, March 9, 2013


Ham sochte rahe hamare aaftab tulu hoga,
Ham bhool gaye woh bhi ek din tha jo guzar gaya.
Jab daman se hi uski saaya chale gaya,
Hum sochte rahe yeh dhoop ka khel hain,
Hum raat ko aatish jalakr baythe the,
Har bar hawa ke jhoke ne use bhuja diya,
hum sochte rahe yeh hawa ka khel hain.
Log jab puchte the uske haal mein achcha hi jawab deta tha…
Is nadaan dil ko uski kaarsazein pata hi nah tha,
Itna rutha koi apna ke aaj khud se ruthe baite hain...
- F F

Monday, February 4, 2013

Kya Khabar Thi...


Kya khabar thi ke main is tarah badal jaunga.
Tujhko kho dunga, tere gham se sambhal jaunga.
Ajnabi banke milunga main tujhe mehfil mein,
Tune Chedi bhi to main baat badal jaunga.
Dhoond paaye na jahaan yaad bhi teri mujhko,
Aise jangal mein kisee roz nikal jaaunga.
Zid mein aaye hue maasoom se bache ki tarah,
Khud hi kashtee ko dibone pe machal jaunga.